nishan manzil ka batlaya na mujh ko ham-safar jaana
tazabzub men pada hai vo jise main ne khizar jaana
nazar meri basirat ko sada mahdud rakhti hai
pas-e-manzar nahin dekha faqat pesh-e-nazar jaana
jahan taqdir le jaae vahan raste nahin jaate
kiya tha rukh idhar ka kyuun likha tha jab udhar jaana
havala zindagi ka bhi tumhari zulf jaisa hai
bikharna phir sanvar jaana sanvarna phir bikhar jaana
junun ki raah ko ab tak samajh paae nahin sahab
ki apne jism ko dha kar faqat jaan se guzar jaana
duboya jis ne kashti ko use hi na-khuda samjhe
diye the jis ne saare dukh usi ko charagar jaana
unhin tarik rahon se guzarna hai tumhen ‘adil’
charagh-e-jan jala kar tum bila khauf-o-khatar jaana
Leave a Reply