• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Sarhaden

Sarhaden

ahmad-faraz

kis se darte ho ki sab log tumhari hi tarah

ek se hain vahi ankhen vahi chehre vahi dil

kis pe shak karte ho jitne bhi musafir hain yahan

ek hi sab ka qabila vahi paikar vahi gil

ham to vo the ki mohabbat tha vatira jin ka

pyaar se milta to dushman ke bhi ho jaate the

is tavaqqoa pe ki shayad koi mehman aa jaae

ghar ke darvaze khule chhod ke so jaate the

ham to aae the ki dekhenge tumhare qarye

vo dar-o-bam ki tarikh ke surat-gar hain

vo arine vo masajid vo kalisa vo mahal

aur vo log jo har naqsh se afzal-tar hain

rome ke but hon ki paris ki ho monalisa

keats ki qabr ho ya turbat-e-firdausi ho

qartaba ho ki ajanta ki mohanjodado

dida-e-shauq na mahrum-e-nazar-bosi ho

kis ne duniya ko bhi daulat ki tarah banta hai

kis ne taqsim kiye hain ye asase saare

kis ne divar tafavut ki uthai logo

kyuun samundar ke kinare pe hain pyase saare

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHamushi Mein Qayas Mera Hai

Ye Sab Kahne Ki Baaten Hain Ki Aisa Ho Nahin Sakta

Agar Hai Zindagi Ek Jashn to Na-Mehrban Kyon Hai

shahryar

Buniyaad-E-Jahan Mein Kaji Kyun Hai

Aaina Hai KHayal Ki Hairat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet