vo to gaya ye dida-e-khun-bar dekhiye
daman pe rang-e-pairahan-e-yar dekhiye
dikhla ke vo to le bhi gaya shokhi-e-khiram
ab tak hain raqs men dar o divar dekhiye
ukta ke ham ne todi thi zanjir-e-nam-o-nang
ab tak faza men hai vahi jhankar dekhiye
siine men chhup gaya hai tulu-e-sahar ke saath
ab shakh-e-dil pe vo gul-e-rukhsar dekhiye
barq-e-tapida bad-e-saba shola aur ham
hain kaise kaise us ke giraftar dekhiye
pahle bhi tez-rau the par us dil-nashin ke saath
ye chashm-e-nam ye masti-e-raftar dekhiye
‘majruh’ ke labon se ye khushbu na ja saki
bakhshi jo us ne daulat-e-bedar dekhiye
Leave a Reply