vo sher sun ke mira ho gaya divana kya
main sach kahunga to manega ye zamana kya
kabhi to aana hai duniya ke samne us ko
ab us ko DhunDhne dair-o-haram men jaana kya
suna hai kaam chalate ho tum bahanon se
udhar doge mujhe bhi koi bahana kya
tumhari yadon ki garmi hai sard raton men
lihaf aise men ab oḌhna bichhana kya
jalega jitna bhi duniya ko raushni dega
charagh-e-ilm-o-hunar hai ise bujhana kya
tabah karne pe aa.e to phir nahin sunti
vo narm-rau hai nadi ka magar Thikana kya
Leave a Reply