karam ke naam pe un ka itaab chahte hain
nigah-e-shauq ko ham kamyab chahte hain
sukun-e-dil men gham-o-iztirab chahte hain
ham aise log bhi kya inqalab chahte hain
chaman men ahd-e-baharan ki aarzu kar ke
qafas-nasib qafas par azaab chahte hain
ye azma.ish-e-qalb-o-nazar ma.az-allah
tumhare jalve ko ham be-naqab chahte hain
mujhe raqib samajh kar jo mere mohsin hain
miri nazar ka hasin intiḳhab chahte hain
jahan ḳhulus-e-tijarat ke fan men Dhal jaa.e
ham aisi duniya se ab ijtinab chahte hain
ye ahl-e-husn ki fitrat ajiib fitrat hai
saval karne se pahle javab chahte hain
Leave a Reply