adu ke shahr men kab be-asar huun
ḳhuda ka shukr hai jo mo’atabar huun
sitara huun ki main raushan qamar huun
dua maan ki hai jis ka main samar huun
baharen kyuun na phir se lauT aa.en
unhen ma.alum hai main bhi idhar huun
isi sahra se meri nisbaten hain
jahan ka main hi ik vahid shajar huun
mohabbat jurm hai kis ne kaha hai
bata do sab ko main dil men agar huun
bala ka hausla mujh ko mila hai
bahut dushvar hai rasta jidhar huun
jise sun kar sabhi hairan hain kyuun
tumhen lagta hai main aisi ḳhabar huun
dariche men jo rakkha jal raha hai
diya aisa hava ke dosh par huun
bulandi chhu ke aa.uun asman ki
parinda huun sada mahv-e-safar huun
tumhare ahd ki huun munharif to
saza mil kar rahegi ba-ḳhabar huun
Leave a Reply