unhen saval hi lagta hai mera rona bhi
ajab saza hai jahan men gharib hona bhi
ye raat raat bhi hai oḌhna-bichhauna bhi
is ek raat men hai jagna bhi sona bhi
vo habs-e-dam hai zamin asman ki vus.at men
ki aisa tang na hoga lahad ka kona bhi
ajiib shahr hai ghar bhi hain raston ki tarah
kise nasib hai raton ko chhup ke rona bhi
khule men so.enge phir motiya ke phulon se
sajao zulf basa lo zara bichhauna bhi
najat-e-ruh bhi arzan nushur-e-dil ki tarah
hua hai sahl zamiron ke daagh dhona bhi
‘aziz’ kaisi ye saudagaron ki basti hai
garan hai dil se yahan kaaTh ka khilauna bhi
Leave a Reply