rahbar tera sitara na rahe
justuju aisi ḳhudara na rahe
jo na ik duuje ka ho ham men guman
ham men phir kuchh bhi hamara na rahe
jism hi jism ho aur ruuh na ho
vasl vo mujh ko gavara na rahe
muntazir ho na teri ankhen to
meri kashti ka kinara na rahe
pyaar ankhon se chhalakta hi hai
dil ke paimane men saara na rahe
aur kuchh kam ho to phir kya kam hai
pyaar kam ho to guzara na rahe
phunk maaro ye ubhar aa.ega
raakh men dab ke sharara na rahe
kya sambhalne ka maza aa.e jo
teri bahon ka sahara na rahe
rah chuka paas tire jo ab to
dil mire paas dobara na rahe
Leave a Reply