Dara rahi thi mujhe aur Dar liya main ne
phir ek roz mohabbat ka sar liya main ne
kisi se mangi musalsal rasad aziyyat ki
phir apne saa.e ko divar kar liya main ne
pahan rahe the kisi gham ka pairahan kuchh log
agarche mahnga paḌa mujh ko par liya main ne
baghair udasi munasib nahin tha ghar jaana
ye intizam use chhu ke kar liya main ne
tamam ho ga.i mujh par kisi ki hujjat dost
jahan nahin tha bipharna biphar liya main ne
Leave a Reply