• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq Ko Kaenat Ka Maqsad-O-Muddaa Samajh

Ishq Ko Kaenat Ka Maqsad-O-Muddaa Samajh

ishq ko ka.enat ka maqsad-o-mudda.a samajh

phir tira zarf hai use dard samajh dava samajh

rah-e-vafa men mujh ko hukm ye hai ki apne aap ko

uTh to ghubar kar ḳhayal baiTh to naqsh-e-pa samajh

main jo harim-e-naz men sham-e-sifat ḳhamosh huun

is ko bhi ai nigah-e-lutf koshish-e-iltija samajh

ai dil-e-be-qarar-e-dost duur hai manzil-e-vafa

ja tujhe shauq de ḳhuda mujh ko shikasta-pa samajh

tera charagh-e-zindagi aḳhiri saans le jahan

ishq ke us maqam ko da.era-e-baqa samajh

duniya se ahl-e-ishq ko koi nahin hai vasta

sab se huun main alag-thalag sab se mujhe juda samajh

mere niyaz par hai tang dair-o-haram ki zindagi

ab ise abtari samajh ya ise irtiqa samajh

hasti-e-dost se alag tera vajud kuchh nahin

apni taraf bhi ab na dekh ḳhud ko bhi ma-siva samajh

arz-o-sama bara-e-dost kaun-o-makan sara-e-dost

jo bhi hai masiva-e-dost hirs samajh hava samajh

ishq men aur husn men koi nahin hai imtiyaz

ye bhi miri ada samajh vo bhi miri ada samajh

jin men na josh ho ‘zafar’ vo mire zamzame nahin

dil se jo khelti uThe us ko miri nava samajh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Farsh-E-Zamin Pe Barg-E-KHizani Ka Rang Hai

Kaun Hun Kyun Zinda Hun Sochta Rahta Hun

kishwar-naheed

Girya, Mayusi, Gham-E-Tark-E-Wafa Kuchh Na Raha

Pahnae-Bar-O-Bahr Ke Mahshar Se Nikal Kar

poet

Tujh Mein Kab Husn-E-Bahaar-E-Gul Ki Ranai Na Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet