• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Junun Ko Zindagi Ka Mustaqar Samjha Kiye

Hum Junun Ko Zindagi Ka Mustaqar Samjha Kiye

ham junun ko zindagi ka mustaqar samjha kiye

ai ‘shifa’ manzil kidhar thi aur kidhar samjha kiye

vaa.e ye kotahi-e-ehsas-o-tangi-e-nazar

zindagi ko zindagi bhar muḳhtasar samjha kiye

karvan pahunche qarib-e-sa.i-e-anjam-e-safar

aur ham mafhum-e-aghaz-e-safar samjha kiye

be-ḳhudi ne kis qadar gumrah rakkha ishq ko

ham tasavvur hi ko husn-e-mo’atabar samjha kiye

dekh kar bhi un ko ham mayus-e-nazzara rahe

har nazar ko laghzish-e-zauq-e-nazar samjha kiye

husn ke rangin muamme ishq ke ghamgin raaz

kuchh samajh men to na aate the magar samjha kiye

zarre zarre ka shu.ur o zehn ko irfan tha

be-ḳhabar the ḳhud jo ham ko be-ḳhabar samjha kiye

aaj tak ham ne farogh-e-dil pe nazren hi na kiin

mehr-o-mah par munhasir apni sahar samjha kiye

dar-haqiqat vo halakat-afrin nikli ‘shifa’

ham jise ab tak mohabbat ki nazar samjha kiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Yaad Ke Shahr Meri Jaan Se Guzar

Phir to Sab Hamdard Bahut Afsos Ke Sath Ye Kahte The

Sheikh Saadi

Story 7 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

humaira-rahat

Waqt Ki Aankh Se Kuchh Khwab Nae Mangta Hai

poet

Dekhna Uski Tajalli Ka Jise Manzur Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet