vo shaḳhs to mujhe hairan karta jaata tha
ki zaḳhm de ke mujhe un ko bharta jaata tha
daricha kholte jo haath un men thi zanjir
gali se ek musafir guzarta jaata tha
bana.e jaata tha main apne haath ko kashkol
so meri ruuh men ḳhanjar utarta jaata tha
use malal se takti thiin gaanv ki galiyan
vo naghma-gar jo siye lab guzarta jaata tha
bana.e jaata tha us ko hasin na jaane kaun
badan vo phuul na tha aur nikharta jaata tha
talash-e-zar men javan kuuch karte jaate the
‘kamal’ gaanv ka sab husn marta jaata tha
Leave a Reply