• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo shaKHs Kaun Tha muD muD Ke Dekhta Tha Mujhe

Wo shaKHs Kaun Tha muD muD Ke Dekhta Tha Mujhe

vo shaḳhs kaun tha muḌ muḌ ke dekhta tha mujhe

akela baiTh ke pahron jo sochta tha mujhe

main us ke paas se guzra to ye hua mahsus

vo dhuup sar pe liye chhanv de raha tha mujhe

ulaT raha tha miri zindagi ke vo auraq

kisi kitab ki manind paḌh raha tha mujhe

usi men dekh raha tha main apna aks-e-ḳhayal

vo ek chehra ki jo aa.ina laga tha mujhe

ab us ki yaad liye phir raha huun shahr-ba-shahr

kabhi sukun ka lamha jo de gaya tha mujhe

vo shaḳhs mere tavajjoh ka ban gaya tha madar

na jaane kaun sa manzar dikha raha tha mujhe

main us ke jism ka saaya tha sar-basar ‘ḳhalid’

jo raushni ka samundar sa lag raha tha mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhtar-shirani

Na Bhul Kar Bhi Tamanna-E-Rang-O-Bu Karte

Aks Ne Aaine Ka Ghar chhoDa

akbar-hyderabadi

Kul Aalam-e-Wajud Ki Ek dasht-e-Nur Tha

Ye Aur Baat Ki taKHir Se Alag Karunga

Dekh Qindil ruKH-E-Yar Ki Jaanib Mat Dekh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet