jo ab se pahle tha lahja nahin vo aaj mira
na jaane ruuTh gaya mujh se kyon mizaj mira
bana diya hai tujhe mehnaton se rashk-e-iram
zamin ye hai tire vaste ḳhiraj mira
jahan muaaf kiya qatilon ko munsif ne
vahin pe darj kiya main ne ehtijaj mira
har ik vajud men main huun hararaten ban kar
hai zindagi ke anasir men imtizaj mira
miri re.aya kabhi mujh se munharif na hui
‘sharar’ hamesha raha raushni pe raaj mira
Leave a Reply