vo shakhs jis ne khud apna lahu piya hoga
jiya to hoga magar kas tarah jiya hoga
tumhare shahr men aane ki jis ko hasrat thi
tumhare shahr men aa kar vo ro pada hoga
kisi ki yaad ki aahat si hai dar-e-dil par
kisi ne aaj mira naam le liya hoga
vo ajnabi tiri banhon men jo raha shab bhar
kise khabar ki vo din bhar kahan raha hoga
tumhare sehn-e-chaman men khila hua ghuncha
kise khabar miri qismat pe hans raha hoga
Leave a Reply