Diwana Bana Degi Tere Pyar Ki KHushbu

dīvāna banā degī tire pyaar kī ḳhushbū

inkār se aatī huī iqrār kī ḳhushbū

jī kahtā hai kāñToñ ko bhī hoñToñ se lagā luuñ

har phuul se aatī hai lab-e-yār kī ḳhushbū

maiñ ne to faqat ret pe ik naam likhā thā

sahrā kī havāoñ meñ hai gulzār kī ḳhushbū

is shahr meñ ḳhushbū ke ḳharīdār bahut haiñ

allāh bachā.e tire kirdār kī ḳhushbū

rusvā.ī ke tohfe se navāze ga.e aksar

har shaḳhs kī qismat meñ kahāñ pyaar kī ḳhushbū

‘ma.asūm’ lage hoñge jinheñ zaḳhm-e-mohabbat

mahsūs kareñge mire ash.ār kī ḳhushbū

Leave a Comment