vo shab-o-roz ḳhayalon men tamasha na kare
aa nahin sakta to phir yaad bhi aaya na kare
ek ummid ki khiḌki si khuli rahti hai
apne kamre ka koi bulb bujhaya na kare
roz email kare surḳh image honTon ke
main kisi aur sitare pe huun socha na kare
hafiza ek amanat hai kisi ki lekin
yaad ki sard hava shaam ko roya na kare
chand ke husn pe har shaḳhs ka haq hai ‘mansur’
main use kaise kahun raat ko nikla na kare
Leave a Reply