vo saaf ruḳh pe jo zulf-e-siyah-fam nahin
pata ye hai ki halab ke qarib shaam nahin
tumhare ruḳh se kuchh achchha mah-e-tamam nahin
tumhare qasr se uncha falak ka baam nahin
vo kaam le ke bhi kahte hain tujh se kaam nahin
salam aisi ita.at ko main ghulam nahin
kabhi hai dasht-navardi kabhi hain gulshan men
gharaz junun men hamara kahin qayam nahin
vo sham-e-vasl hai ai ham-nashin sahar jis ki
vo sub.h-e-hijr hai ai dil ki jis ki shaam nahin
hui hai ab to unhen lafz lafz se nafrat
javab-e-ḳhat men kahin daad saad laam nahin
sharab-ḳhana-e-duniya men ai bala-nosho
kisi ko saghar-e-mai ki tarah qayam nahin
pila de muft mujhe ai saḳhi ke laal sharab
gharib-e-rind huun meri girah men daam nahin
hazar aib hain ham men magar vo hai sattar
ḳhuda ka shukr hai badnam apna naam nahin
bas aaj roz ka jhagḌa miTa de ai qatil
adu nahin tiri mahfil men ya ghulam nahin
hazar kabk ko ho naaz chaal par apni
magar vo aap ke manind ḳhush-ḳhiram nahin
ye kis ke paanv ke chhale ne kar diya sairab
jo aaj ḳhar-e-bayaban bhi tishna-kam nahin
saval-e-vasl par lillah aaj haan kah de
dahan se tere nikalta raha mudam nahin
dikha ke abru-e-pur-ḳham kaha ye zalim ne
kare na chaak kaleja ye vo husam nahin
na sub.h-e-vasl karo va.ada shaam ka sahab
yahan hai sham-e-sahar arzu-e-sham nahin
piyala duudh ka galon ke samne hai rakha
vo gaal par tire zulf-e-siyah-fam nahin
janab-e-shaiḳh bhi aa jaa.en to pila.un unhen
ye mah-e-id hai ‘sabir’ mah-e-siyam nahin
main un se daad bhi leta nahin huun ai ‘sabir’
samajhte mere suḳhan ko agar avaam nahin
Leave a Reply