iblis
ye anasir ka purana khel ye duniya-e-dun
sakinan-e-arsh-e-azam ki tamannaon ka khuun
is ki barbadi pe aaj amada hai vo karsaz
jis ne is ka naam rakha tha jahan-e-kaf-o-nun
main ne dikhlaya farangi ko mulukiyat ka khvab
main ne toda masjid-o-dair-o-kalisa ka fusun
main ne nadaron ko sikhlaya sabaq taqdir ka
main ne munim ko diya sarmaya daari ka junun
kaun kar sakta hai is ki atish-e-sozan ko sard
jis ke hangamon men ho iblis ka soz-e-darun
jis ki shakhen hon hamari abiyari se buland
kaun kar sakta hai is nakhl-e-kuhan ko sar-nigun
pahla mushir
is men kya shak hai ki mohkam hai ye iblisi nizam
pukhta-tar is se hue khoi ghulami men avaam
hai azal se in gharibon ke muqaddar men sujud
in ki fitrat ka taqaza hai namaz-e-be-qayam
aarzu avval to paida ho nahin sakti kahin
ho kahin paida to mar jaati hai ya rahti hai khaam
ye hamari sai-e-paiham ki karamat hai ki aaj
sufi-o-mulla mulukiyyat ke bande hain tamam
tab-e-mashriq ke liye mauzun yahi afyun thi
varna qavvali se kuchh kam-tar nahin ilm-e-kalam
hai tavaf-o-haj ka hangama agar baaqi to kya
kund ho kar rah gai momin ki tegh-e-be-niyam
kis ki nau-midi pe hujjat hai ye farman-e-jadid
hai jihad is daur men mard-e-musalman par haram
dusra mushir
khair hai sulatani-e-jamhur ka ghaugha ki shar
tu jahan ke taaza fitnon se nahin hai ba-khabar
pahla mushir
huun magar meri jahan-bini batati hai mujhe
jo mulukiyat ka ik parda ho kya is se khatar
ham ne khud shahi ko pahnaya hai jamhuri libas
jab zara aadam hua hai khud-shanas-o-khud-nigar
karobar-e-shahryari ki haqiqat aur hai
ye vajud-e-mir-o-sultan par nahin hai munhasir
majlis-e-millat ho ya parvez ka darbar ho
hai vo sultan ghair ki kheti pe ho jis ki nazar
tu ne kya dekha nahin maghrib ka jamhuri nizam
chehra raushan andarun changez se tarik-tar
tisra mushir
ruh-e-sultani rahe baaqi to phir kya iztirab
hai magar kya is yahudi ki shararat ka javab
vo kalim-e-be-tajalli vo masih-e-be-salib
niist paighambar va-lekin dar baghal darad kitab
kya bataun kya hai kafir ki nigah-e-parda-soz
mashriq-o-maghrib ki qaumon ke liye roz-e-hisab
is se badh kar aur kya hoga tabiat ka fasad
tod di bandon ne aqaon ke khemon ki tanab
chautha mushir
tod is ka rumat-ul-kubra ke aivanon men dekh
al-e-ceaser ko dikhaya ham ne phir ceaser ka khvab
kaun bahr-e-rum ki maujon se hai lipta hua
gaah balad-chun-sanobar gaah nalad-chun-rubab
tisra mushir
main to is ki aqibat-bini ka kuchh qaail nahin
jis ne afrangi siyasat ko kya yuun be-hijab
panchvan mushir iblis ko mukhatab kar ke
ai tire soz-e-nafas se kar-e-alam ustuvar
tu ne jab chaha kiya har pardagi ko ashkar
ab-o-gil teri hararat se jahan-e-soz-o-saz
ablah-e-jannat tiri taalim se dana-e-kar
tujh se badh kar fitrat-e-adam ka vo mahram nahin
sada-dil bandon men jo mashhur hai parvardigar
kaam tha jin ka faqat taqdis-o-tasbih-o-tavaf
teri ghairat se abad tak sar-nigun-o-sharmsar
garche hain tere murid afrang ke sahir tamam
ab mujhe un ki farasat par nahin hai e’tibar
vo yahudi fitna-gar vo ruh-e-mazdak ka buruz
har qaba hone ko hai is ke junun se taar taar
zaagh dashti ho raha hai ham-sar-e-shahin-o-chargh
kitni surat se badalta hai mizaj-e-rozgar
chha gai ashufta ho kar vusat-e-aflak par
jis ko nadani se ham samjhe the ik musht-e-ghubar
fitna-e-farda ki haibat ka ye aalam hai ki aaj
kanpte hain kohsar-o-murgh-zar-o-juebar
mere aaqa vo jahan zer-o-zabar hone ko hai
jis jahan ka hai faqat teri siyadat par madar
Leave a Reply