Wo Rah-O-Rasm Na Wo Rabt-E-Nihan Baqi Hai

vo rah-o-rasm na vo rabt-e-nihāñ baaqī hai

phir bhī is dil ko mohabbat kā gumāñ baaqī hai

ab bhī logoñ kī zabāñ par haiñ ka.ī afsāne

apnā qissa ba-hadīs-e-digrāñ baaqī hai

ab nahīñ mujh ko mayassar tirā dāman phir bhī

joshish-e-dīda-e-ḳhūñ-nāb-fashāñ baaqī hai

gul-o-nasrīñ ke tasavvur se mirī sāñsoñ meñ

nik.hat-e-zulf-e-masīhā-nafasāñ baaqī hai

muddateñ guzrīñ tirī diid ko par āñkhoñ meñ

aaj bhī raqs-e-bahārāñ kā samāñ baaqī hai

tere andāz-e-sitam tere taġhāful ke nisār

dil meñ ik hasrat-e-benām-o-nishāñ baaqī hai

aah ye jāda-e-pur-ḳham ye bhayānak jañgal

dil-e-darmāñda-o-umr-e-guzrāñ baaqī hai

dil-e-muztar ko ab ummīd-e-mulāqāt nahīñ

yaad terī magar ai dushman-e-jāñ baaqī hai

Leave a Comment