taḳht-nashinon ka kya rishta tahzib-o-adab ke saath
ye jab chahen jang kara den rustam ki sohrab ke saath
zulm-o-tashaddud ke shaida.i shayad tujh ko ilm nahin
tere bhi sapne TuTenge mere har ik ḳhvab ke saath
kankar patthar ki tamiren maz.hab ka mafhum nahin
zehnon ki ta.amir bhi kiije gumbad aur mehrab ke saath
qatil ban kar vo bhi khaḌe hain aaj hamare pesh nazar
ham ne jin ko izzat baḳhshi ezaz-o-alqab ke saath
urdu ko ḳhud ḳhuun baha kar joḌ rahe hain rishte log
‘ghalib’-o-‘momin’ ‘munshi’-o-‘mulla’ ‘chakbast’-o-‘simab’ ke saath
rafta rafta Duub rahe hain maiḳhane virani men
jab se meri pyaas ka rishta qaa.em hai zahrab ke saath
aivanon men amn-o-aḳhuvvat ki jo baten karte hain
apna apna daman dekhen kashmir-o-panjab ke saath
yaron ki tota-chashmi ka aḳhir itna shikva kyuun
‘rahbar’ tum bhi kab muḳhlis the ḳhud apne ahbab ke saath
Leave a Reply