jab talak ishq ka afsana mukammal hoga
ek tufan bapa zehn men har pal hoga
dil dhaḌakne ki sada itni kahan hoti hai
paas hi shor machata koi pagal hoga
itna asan nahin dasht-e-tamanna ka safar
kahin dariya to koi rasta daldal hoga
tishnagi dasht ki surat hai labon par baiThi
kab tira haath mire vaste chhagal hoga
manzil-e-dard se bhi hoga guzarna tujh ko
tab kahin ja ke tira aa.ina saiqal hoga
aḳhiri sang-e-masafat hai kahan kya malum
kya ḳhabar kab ye safar apna mukammal hoga
dil ye kahta hai chalo dekh hi aa.en chal kar
aql kahti hai ki darvaza muqaffal hoga
us taraf khul ke barasta hai bahut abr-e-ḳhayal
chand lamhon men ilaqa mira jal-thal hoga
chahte hi nahin iblis siyasat ke ‘mujib’
mas.ala kaise ta.assub ka yahan hal hoga
Leave a Reply