vo qafila jo rah-e-sha.eri men kam utra
nasib se mire ghar karvan-e-gham utra
tujhe ḳhabar hi nahin hai ye qissa-e-kotah
jahan pe but na gire kab vahan haram utra
safed ho ga.e jab shahr ke tamam sutun
har ek burj har ik taaq men sanam utra
kashan kashan jo sitaron ki samt nikla tha
phira to apni zamin par ba-chashm-e-nam utra
dayar-e-ishq ki tira-nasibiyan ‘salim’
ki asman to gire ḳhuub abr kam utra
Leave a Reply