• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Wo Pal Ye Ghadi

Wo Pal Ye Ghadi

sajida-zaidi

salman ke naam

vo pal

jab tumhen kokh se jan ke

ummid-o-imkan ka taara samajh kar

main ne aghosh men bhar liya tha

vo pal

surkh kaliyon ko jab

apne siine ki dhara se sincha tha

aur apni hi tishnagi ka mudava kiya tha

ek nanhe se chehre ke

nazuk khadd-o-khal men duub kar

jab miri ruuh parvan chadhne lagi thi

vo pal

jab miri shab guzari ki

mehnat-kashi men

tumhari numu ki guhar-bar asudgi thi

vo pal

rahat-e-maujud-o-imkan

jab miri god men so gai thi

vo pal

jab miri aatma

aur parmatma

ik madhur ruup men dhal gae the

mere angan men

maasum si raushni thi

vo pal

vaqt ki rahguzar men

bahut duur pichhe kahin rah gaya hai

ghubar-e-safar ke dhundlakon men

nazron se ojhal hua hai

aur ab

jab ki tum aae ho

apne hi ghar men mehman ban ke

tumhen duur jaana hai

masruf ho

vaqt thoda hai

aage miri zindagi ki dagar par

saat-e-vapsin muntazir hai

is ghadi

garche meri ghadi apni raftar se chal rahi hai

magar

meri ankhon ki sukhi nami

purane kivadon ki chaukhat men

na jaane kyuun

jazb hone lagi hai

aur

is ghar ke divar-o-dar apni apni jagah chup khade hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Hum Ko Yan dar dar Phiraya Yar Ne

Tamam KHwab Adhure uTha Ke Rakkhe Hain

Chaman-Bandi Pe Hai Mahshar Bapa Kya

farah-iqbal

Zara Si Raat dhal Jae To Shayad Nind Aa Jae

khwaja-meer-dard

Sina-O-dil Hasraton Se Chha Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet