aah bharta huun to bharne bhi nahin deta hai
aur vo khamoshi se marne bhi nahin deta hai
nakhuda kashti ko sahil se lagata bhi nahin
beach dariya men utarne bhi nahin deta hai
dusra zakhm laga deta hai dil par mere
pahle ko thiik se bharne bhi nahin deta hai
mere ansuon se vo sang pighalta bhi nahin
sar patak kar mujhe marne bhi nahin deta hai
baaz aata bhi nahin zarb lagane se vo
tuut kar mujh ko bikharne bhi nahin deta hai
mere sapnon ko vo sach bhi nahin hone deta
magar ummid ko marne bhi nahin deta hai
aaine ko mire chehre se shikayat hai bahut
aaina mujh ko sanvarne bhi nahin deta hai
us ki mahfil men pahunchne ki tamanna mat kar
vo to kuche se guzarne bhi nahin deta hai
Leave a Reply