dekhte dekhte hi saal guzar jaata hai
par tira gham hai ki baḌhta hai Thahar jaata hai
tairti rahti hai ankhon men tu har shab aise
jaise dariya men koi chand utar jaata hai
kaun us ḳhvab ki ta.abir pe karta hai yaqin
ḳhvab jo niind se laḌta hua mar jaata hai
ham ne ankhon ki zabanon pe laga.e hain qufl
varna dil teri hi avazon se bhar jaata hai
koi har roz mujhe chhoḌ ke mar jaata hai
jaane vo kaun hai kaisa hai kidhar jaata hai
ek hi vaqt men sukh-dukh nahin milte mujh ko
paanv gar apne bacha.un to safar jaata hai
phir se duniya ki taraf dhyan lagaya hai magar
ḳhaak itne men tira dil se asar jaata hai
Leave a Reply