
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi
raat ga.e zindan men jaane kis qaidi ka matam tha
us ki beḌiyan chup chup si thiin aur ujala kam kam tha
jaane kyuun guftar pe us ki vahm-o-guman ke saa.e the
baat to us ki sidhi si thi lahja kuchh kuchh mub.ham tha
fasl-e-baharan aa.i bhi lekin chaak gareban ho na sake
jaane dilon par kya guzri thi kaun sa us ka mausam tha
dasht-e-junun men dhuup kaḌi thi nauha-kunan the sannaTe
jaane teri yaad ka badal saaya fagan kyuun paiham tha
soḳhta-saman dasht-e-talab se lauT ke aa.e to dekha
saare gharon men un ka ghar hi itna darham-barham tha
ḳhauf-o-raja ka sahn-e-chaman men ek hi jaisa haal hua
zikr-e-sho.ala-o-shabnam bhi tha barq-e-fana ka matam tha
rah-e-vafa men hirs-o-hava ke itne dilkash manzar the
us men ‘rahi’ bhaTak gaya vo aḳhir ibn-e-adam tha

Leave a Reply