ik barf ka dariya andar tha
dahka hua suraj sar par tha
nafrat ke sho.ale dahakte the
ik ḳhauf ka aalam ghar ghar tha
har dil men the ḳhadshat ka.i
har lamha dahshat-manzar tha
zahir men lagta tha mom ka vo
chhu kar dekha to patthar tha
naghme likhta tha ashkon se
aisa bhi ek suḳhnavar tha
jo haar ko jiit bana deta
kya koi aisa sikandar tha
hansta rahta tha vo gham men
gham ka vo shayad ḳhugar tha
Leave a Reply