lahu ki aanch jaisa ho raha hai
tumhara gham sitara ho raha hai
ye kaun aaya hai bam-e-arzu par
fazaon men ujala ho raha hai
jhaḌi hai dhuul kis ke naqsh-e-pa se
bahut asan rasta ho raha hai
sikuḌti ja rahi hai mujh pe dharti
badan mera kushada ho raha hai
miri palkon pe ik mauhum aansu
ki shabnam se sharara ho raha hai
samajhti hai yahi duniya ki mujh ko
mohabbat men ḳhasara ho raha hai
asa jab se ‘nabil’ aaya mayassar
samundar bhi kinara ho raha hai
Leave a Reply