har raat intizar-e-sahar kar liya gaya
is tarah zindagi ko basar kar liya gaya
meri tamam umr kaTi iztirab men
mujh se sukun ka saans bhi mar kar liya gaya
marne se mere ruk na saka mera karvan
divar-e-tirgi men bhi dar kar liya gaya
bedi agar safar men na saaya kahin mila
saa.e ki aarzu men safar kar liya gaya
Leave a Reply