vo mujhe soz-e-tamanna ki tapish samjha gaya
mom ka paikar samajh kar dhuup men Thahra gaya
us ki bazm-e-gul hain apne ḳhana-e-viran ki samt
main misal-e-abr aaya surat-e-sahra gaya
tha amir-e-shahr gar apni jagah bar-haq to phir
a.ina jab samne aaya to kyuun ghabra gaya
ab koi saffak duniya ke ghamon ka gham nahin
ham ko tera gham samajhne ka saliqa aa gaya
kis se dekha ja.ega us ka jamal-e-nau-ba-nau
ek jalva hi nigah-e-shauq ko pathra gaya
bazi-e-dil ham ne yuun kheli bisat dahr par
shah pe shah paḌti rahi har shah pe ik mohara gaya
chaḌhte suraj ke pujari kal ke suraj ko na bhuul
vo bhi suraj tha yuun hi nikla chaḌha utra gaya
ab na vo mushtaq nazren hain na vo betab dil
be-mahaba aa.e sanson ka vo pahra gaya
kuchh ajab tha teri bazm-e-naz men ‘aḳhgar’ ka haal
aaj us ko der tak kuchh sochta dekha gaya
Leave a Reply