ġham kā gumāñ yaqīn-e-tarab se badal gayā
ehsās-e-ishq husn ke sāñche meñ Dhal gayā
saath un ke le rahā huuñ maiñ gul-gasht ke maze
ye ḳhvāb hī sahī mirā jī to bahal gayā
majbūr-e-ishq chashm-e-fusūñ-sāz se huuñ maiñ
jaadū mujhī pe dost kā chalnā thā chal gayā
maiñ intizār-e-eid meñ thā eid aa ga.ī
armān-e-dīd dāman-e-ishrat meñ pal gayā
hai barq-e-jalva yaad magar ye nahīñ hai yaad
ḳhirman mire ġhurūr kā kis vaqt jal gayā
paimān-e-ishq-o-husn kī tajdīd ke sivā
jo bhī ḳhayāl zehn meñ aayā nikal gayā
baḌhte chale haiñ aa.e din asbāb-e-iztirāb
yādash-ba-ḳhair aaj kā va.ada bhī Tal gayā
‘manzūr’ kis zabāñ se butoñ ko burā kaheñ
īmāñ hamārā kufr ke dāman meñ pal gayā