duur se bagh-e-jahan dikhla ke divana kiya
muttasil jaane na paaya main ki virana kiya
dekhte hi mai ko saghar ka na khencha intizar
maare jaldi ke main apna haath paimana kiya
turfa-tar ye hai ki apna bhi na jaana aur yunhi
apna apna kah ke mujh ko sab se begana kiya
kuchh bahak kar baat gar bolun to huun mazur main
mujh ko hasti ne tiri ankhon ki mastana kiya
bevafai ne ye kis ki tujh ko samjhaya ‘hasan’
in dinon kyuun tu ne kam us taraf jaana kiya
Leave a Reply