mere hisse ki udasi mujhe lauTa dena
ja rahe ho to mujhe koi to tohfa dena
ek qatra bhi miri pyaas bujha sakta hai
main ne kab tum se kaha hai mujhe dariya dena
mere sahra mujhe hona hai andheron ke ḳhilaf
jis men suraj bhi chala aa.e vo ḳhema dena
kaun la.ega kisi pyaas ke sajde ka javab
ai ḳhuda dasht na ab karb-o-bala sa dena
ek tinka na nikalega bhanvar se mujh ko
main samundar se ye kahta huun safina dena
Leave a Reply