raat ik hadsa hua mujh men
ek darvaza sa khula mujh men
mere andar charagh jalte hain
raqs karti hai ik hava mujh men
phir se akar le raha hai kahin
ek chehra naya naya mujh men
mujh ko ye kaam ḳhud hi karna tha
umr bhar kaun jagta mujh men
ab bhi siina jala raha hai mira
ek suraj bujha hua mujh men
jaane vo kaun hai jo rahta hai
sahma sahma dara dara mujh men
Leave a Reply