paiham udasiyon se bayaban hai zindagi
dil men bahar ho to gulistan hai zindagi
ai intiha-e-kashmakash-e-shaiḳh-o-barhman
hindu hai zindagi na musalman hai zindagi
be-chainiyon men gharq hai sarmaya-e-hayat
tabir-ha-e-ḳhvab-e-pareshan hai zindagi
hai maut iḳhtitam pareshaniyon ka naam
jab tak ye zindagi hai pareshan hai zindagi
ghafil nahin to kyuun nahin anjam par nazar
har lahza har-nafas jo gurezan hai zindagi
hain muḳhtalif fasana-e-hasti ki surḳhiyan
pinhan kahin kahin pe numayan hai zindagi
nazzara-e-jamal se ghash huun main ai ‘safir’
behosh mujh ko dekh ke hairan hai zindagi
Leave a Reply