• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sitare so Gae to Aasman Kaisa Lagega

Sitare so Gae to Aasman Kaisa Lagega

sitare so ga.e to asman kaisa lagega

jahan-e-tirgi men ye jahan kaisa lagega

bichhaḌ ke sahilon se mauj-e-dil kaisi lagegi

bikhar ke andhiyon men badban kaisa lagega

Thahar ja.engi jab ye kashtiyan kaisi lagengi

guzar ja.ega jab ab-e-ravan kaisa lagega

imarat Dhah chuki hogi jo sansen TuTne se

to phir vo saya-e-divar-e-jan kaisa lagega

utar ja.ega rang-e-ashiqi jab is ke ḳhuun se

to dil begana-e-sud-o-ziyan kaisa lagega

qafas kaisa lagega uḌ ga.e jab gaate panchhi

na hoga jab koi shor o fughan kaisa lagega

bikhar ja.engi zanjiren sabhi zindaniyon ki

zaval-e-naḳhvat-e-na-mehrban kaisa lagega

bahut ranginiyan hongi agarche rah men lekin

musafir kho gaya to karvan kaisa lagega

jahan tum se bahut pahle pahunch ja.enge ham log

na jaane aḳhiri vo ḳhak-dan kaisa lagega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Be-Kar Bhi Is Daur Mein Be-Kar Nahin Hai

Sard Ruton Mein Logon Ko Garmi Pahunchane Wale Hath

Sarma Tha Magar Phir Bhi Wo Din Kitne baDe The

Kya Sochte Rahte Ho Taswir Bana Kar Ke

Wo Jo Dekhe the Maine Kabhi KHwab Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet