• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dur Hai Manzil To Kya Rasta To Hai

dur Hai Manzil To Kya Rasta To Hai

aazim-kohli

duur hai manzil to kya rasta to hai

ik nazar us ne mujhe dekha to hai

chand hathon men nahin to kya hua

asman par hi sahi dikhta to hai

khush agar ghairon men hai to khush rahe

vo kahin bhi ho chalo achchha to hai

kuchh nahin hai aur to gham hi sahi

is bhari duniya men kuchh apna to hai

aaj vo yuun hi nahin mujh se khafa

kuchh gila to hai koi shikva to hai

kiya bharosa us ke vaade ka magar

dil ke khush rakhne ko ik vaada to hai

us ne rakkha hai takalluf ka bharam

ab adavat par koi parda to hai

aa raha hai vo bhi akhir raah par

sun ke mera zikr kuchh kahta to hai

dil nahin ‘azim’ chalo jaan hi sahi

khair us ne mujh se kuchh manga to hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Mera Yar Tha Mujhko Na Ye KHayal Aaya

Mere Shauq Ka Saman Band Hai Lifafe Mein

Hayat Ko Teri Dushwar Kis Tarah Karta

Kar-Zar-E-Dahr Mein Kya Nusrat-O-Gham Dekhna

poet

Rah Mein Yun to Marhale Hain Bahut

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet