vo ḳhuun baha ki shahr ka sadqa utar gaya
ab mutma.in hain log ki dariya utar gaya
phir jama.a kar raha huun par-e-kah-e-sarguzisht
hairan huun ki zehn se kya kya utar gaya
aaseb raste men shajar roz-o-shab ke the
jangal ke paar main tan-e-tanha utar gaya
gharqab hauke sikhi hai gauhar-shanavari
patthar na tha ki paani men gahra utar gaya
mujh ko to be-maza laga paani ka za.iqa
vo kaun tha jo dasht men pyasa utar gaya
haan haar maan li tiri yadon ke ru-ba-ru
is baar kufr-e-sang men tesha utar gaya
le aa.iin kis faraz pe lafzon ki siḌhiyan
kaghaz pe hu-ba-hu vo sarapa utar gaya
aahaT ilaaj hai dil-e-vahshat-pasand ka
rakha namak zaban pe ki nashsha utar gaya
‘shahid’ talash-e-rizq hai taa.ir ki justuju
paani mujhe jahan nazar aaya utar gaya
Leave a Reply