jo mo’tariz khaḌe hain miri is uḌaan par
shikva na un se hai na shikayat zaban par
vo ham se phir milega kisi asman par
ham hain ki ji rahe hain faqat is guman par
pahunchega tiir mera ye apne nishan par
itna yaqin mujh ko hai apni kaman par
taare miri zamin pe jo saare utaar de
main us ke sang sang uḌuun asman par
kab main ne koi baat nirali hai ki yahan
kyuun sab machal ga.e hain mire ik bayan par
mahshar na ho bapa to ho phir aur kya bata
sab ko yaqin hai us ki ghazab dastan par
tum ne kaha ki maan tumhen meri chaah par
dil tum ko de rahi huun tumhare hi maan par
halanki unch-nich se vaqif nahin magar
ham kar rahe ghurur hain urdu zaban par
Leave a Reply