main khaak ho raha huun yahan khak-dan men
vo rang bhar raha hai udhar asman men
ye kaun bolta hai mire dil ke andarun
avaz kis ki gunjti hai is makan men
phir yuun hua ki zamzama-pardaz ho gai
vo andalib aur kisi gulsitan men
udti hai khaak dil ke darichon ke as-pas
shayad makin koi nahin is makan men
yunhi nahin ruka tha zara der ko safar
divar aa gai thi koi darmiyan men
ik khvab ki talash men nikla hua vajud
shayad pahunch chuka hai kisi dastan men
‘ahmad’ tarashta huun kahin baad men use
tasvir dekh leta huun pahle chatan men
Leave a Reply