miri shaki hai ḳhud meri fughan tak
ki taalu se nahin lagti zaban tak
koi hasrat hi le aa.e mana kar
mire ruThe hue dil ko yahan tak
jagah kya dard ki bhi chhin lega
jigar ka daagh phailega kahan tak
asar nalon men jo tha vo bhi khoya
bahut pachhta.e ja kar asman tak
falak tere jigar ke daagh hain ham
miTa.e ja miTana hai jahan tak
vo kya pahlu men baiThe uTh ga.e kya
na liin jaldi men do ik chuTkiyan tak
koi mange to aa kar muntazir hai
liye thoḌi si jaan ik nim-jan tak
uThane se ajal ke main na uThta
vo aate to kabhi mujh na-tavan tak
‘jalal’-e-nala-kash chupka na hoga
vo de kar dekh len munh men zaban tak
Leave a Reply