ab un pe meri aah ka hoga asar kahan
kya haal hai mira unhen is ki ḳhabar kahan
ab un ke dil men ham se faqiron ka ghar kahan
bas dekhiye ke phirte hain ham dar-ba-dar kahan
ik mushkilon ki dhuup se mera hai samna
asaniyon ka raah men koi shajar kahan
muddat hui ke iid mayassar nahin hamen
aaya hai chand ham ko hamara nazar kahan
bas ai tabib nusḳha-e-didar likh mujhe
in marhamon se bharta hai zaḳhm-e-jigar kahan
har aan nafraton ka hai pahra gali gali
ab ham karen talash mohabbat-nagar kahan
har moḌ par hai ek musibat se samna
ab jaane ḳhatm hoga mira ye safar kahan
tarik ho chuki yahan ‘haidar’ ki zindagi
us ko nasib ishq ke shams-o-qamar kahan
Leave a Reply