bayaban ho ki sahra ho mujhe tera sahara ho
tu hi khurshid ho mera tu hi mera sitara ho
bulandi ho ki pasti ho kahin baithun kahin jaun
vahin par mera kaaba ho vahin tera nazara ho
na ye duniya na vo uqba miri to ik tamanna hai
rahun qadmon tale tere tu hi mera kinara ho
raho pardon men tum makhfi magar jab dil men jhankun main
tumhara hi nazara ho tumhara hi nazara ho
miri ankhon men bas jaao zara mujh par taras khaao
zaminon asmanon men tumhin ik mah-para ho
Leave a Reply