ru-ba-ru hain vo dekhta kya hai
hal-e-dil kah de sochta kya hai
hai vafa dil men ya jafa kya hai
saaf kahiye ki majra kya hai
un ko bhule hue zamana hua
phir ye pahlu men dard sa kya hai
hain bhikari sabhi tire dar ke
shaah kya chiiz hai gada kya hai
meri rusva.i-e-jahan ke siva
teri shohrat men aur kya kya hai
aabru dard-e-dil ki baḌh jaa.e
jab vo puchhen tumhen hua kya hai
un ki ankhon men jhank kar dekhun
meri taqdir men likha kya hai
Leave a Reply