husn ke danke ki dhuum jag men padi ja-ba-ja
kyuun na baje dil mane ishq ki naubat sada
ashiq-e-be-jan ne aaj dil sati ai ruh-bakhsh
tujh kuun kaha dekh kar jaan baya marhaba
bulbul-e-shiraz ne chhod diya ishq-e-gul
ghuncha-dahan ko suna baat men jab khush-ada
sarv hua hai khada teri tavazoa katin
jab siin suna baagh men qad ko tire dil-ruba
tera daras paane ko daud kar aaya chakor
buujh tire chehre ko ghairat-e-badrudduja
shauq ka nazuk darakht khushk hua dard suun
husn ke bustan men tu chup se hua bevafa
baagh men laala kahe dekh ke nargis taraf
chashm ka bimar ho kyunki khada be-asa
laaf na maar ai raqib majlis-e-ushshaq men
dil mane begana hai tujh sati vo ashna
phuul gaya sungh main tere badan ki so baas
ho ke tire paas jab mujh kane aaya saba
bas-ki tire aane ki baagh mane thi khabar
shauq se be-ikhtiyar gul ne kaha hal-ata
mauj-e-havadis sati mujh kuun nahin gham kabhi
kashti-e-hasti upar bas-ki tu hai nakhuda
taan tire munh se sun vajd kare tansen
pakde apas kaan kuun jab vo sune kanhra
yaad suun teri jo dil khali-o-ghafil hai nit
us dil-e-be-hosh ka naam hai bait-ul-khala
kucha-e-sarbasta-e-zulf men hairan hove
ishq-e-siyah-chashm ka jis ka hove rahnuma
aankh tiri sahar ko phande men de hiran kuun
zulf tiri pech suun dil ko deve hai phansa
mujmar-e-sina mane kyuun na jale jiyun sipand
dil kuun lagi chatpati jab se hua tuun juda
ishq ke bimar kuun kaam tabiban suun naiin
vasl ki tabrid bin aur nahin hai dava
haal mire dard ka puchh kabhi aan kar
lutf ke qanun se mujh kuun milegi shifa
teri kamar dekh kar dang hain barik-bin
kyuun na hove mu-ba-mu tujh pe fida ‘mubtala’
Leave a Reply