vo khat ke purze uda raha tha
havaon ka rukh dikha raha tha
bataun kaise vo bahta dariya
jab aa raha tha to ja raha tha
kuchh aur bhi ho gaya numayan
main apna likkha mita raha tha
dhuan dhuan ho gai thiin ankhen
charagh ko jab bujha raha tha
munder se jhuk ke chand kal bhi
padosiyon ko jaga raha tha
usi ka iman badal gaya hai
kabhi jo mera khuda raha tha
vo ek din ek ajnabi ko
miri kahani suna raha tha
vo umr kam kar raha tha meri
main saal apne badha raha tha
khuda ki shayad raza ho is men
tumhara jo faisla raha tha
Leave a Reply