har ujala nai sahar to nahin
raat ki umr rat-bhar to nahin
aadmi chand gaam baḌh na sake
zindagi itni muḳhtasar to nahin
ik ujala sa saath rahta hai
sochta huun tiri nazar to nahin
ek hangam hai bayaban men
koi amada-e-safar to nahin
vaqt be-shak aziim hai lekin
mujh se tujh se azim-tar to nahin
duur kuchh saae se hain sahra men
rah-e-gum-karda ham-safar to nahin
aap jo bhi kahen vo sach ‘ajmal’
aap ab itne mo’atabar to nahin
Leave a Reply