hamare sanvle kuun dekh kar ji men jali jamun
laga phika savad us ka nahin lagti bhali jamun
sarapa aaj namkini o narmi o gudazi suun
hua ye sanvla goya namak men ki gali jamun
lage hai tursh zahir men pe hai ye sanvla mitha
maze-dari men hai goya ye misri ki dali jamun
tumhare rang ki tamsil us kuun duun to khul jaave
khushi siin sanvari ho kar ke koyal ki kali jamun
kya ram sanvare nen ‘abru’ kuun dekh kar paani
laga barsat ka mausam dekho yaaro chali jamun
Leave a Reply