nazar ko hal-e-dil ka tarjuman kahna hi paḌta hai
ḳhamoshi ko bhi ik tarz-e-bayan kahna hi paḌta hai
jahan har-gam par sajde Tapakte hain jabinon se
vahan har naqsh-e-pa astan kahna hi paḌta hai
jahan lab koshish-e-iz.har-e-matlab ko taraste hain
vahan har saans ko ik dastan kahna hi paḌta hai
agar qalb-o-nazar men vus.aten hon tere jalvon ki
ḳhizan ko bhi bahar-e-javedan kahna hi paḌta hai
kahan asudgi dil ki kahan afsurdagi lekin
asiri-e-qafas ko ashiyan kahna hi paḌta hai
ham un se majra ai dard-e-dil kahte nahin lekin
ba-andaz-e-hadis-e-digaran kahna hi paḌta hai
Leave a Reply